Monday, 21 October 2013

matar paneer ki sabji

Matar paneer ki sabji ek esi sabji hai jiska naam leti hee muuh mai paani aa jaata hai. Par agar esi pyaar se banaya jaaye to khane mai swaad or bhi badh jaata hai.

PYAAR SE BNANE KAI LIYE INGREDENTS NOTE KARE:

PANEER - 250 GRM
MATAR - 100 GRM
ONION - 2
TOMATO -2
SABUT DHANIYA -1 SPOON
DALCHINI - THODI SE
BADI ELAYACHI -1
SABUT JEERA- 1/2 SPOON
SAUPH - 1/2 SPOON
METHI THODI SE
KALI MIRCH THODE SE
HALDI
NAMAK  SWAAD ANUSAR
HARI DHANIYA SAJANE KE LIYE

PAKANE KI VIDHI


Sabhi sabut masale ko barik pees lijiye or alag se tamatar or pyaj ko bhi barik pees lijiye.Ab ek pen mai oil dal kar use garm hone tak rakhe phir usme heeng dal dijiye or ab pessa hua masala dal dijiye use tab tak pakaye jab tak ki pen mai se oil chodh na de or ab peesa hua tomato or onion ka pest dal dijiye ab use bhi oil dekhne tak pakaye ab usme matar or namak dal kar 5min. tak pakaye ab jarurat ke hisab se paani dalkar use pakaye or ab pen mai paneer kat kar dal dijiye or 2min. tak pakaye or hari dhaniya se use sajaye.

or ab pyaar ki saath garma garma rice ya roti ke saath parose.

 

No comments:

Post a Comment